Friday, April 16, 2010

Faltoo Shayaris



NAMSKAR ! yeh hamari FALTOO SHAYARIS sewa hai. is main hum logo ko waqt beh waqt DISTURB Karte hai. is sewa ka labh uthane ka dhanya wad. AB APNA KAM KIJEA...


Arz kiya hai .......... jara gaur farmaeaga ...........

kutta mar gaya rajaai mein........
kutta mar gaya rajaai mein........
main pagal ho gaya teri judai mein.


Faltoo Shayaris


ek aur mulahija farmaeye ............ .......

Haathi naali me beh nahi sakta...........
Haathi naali me beh nahi sakta..........
aur main tere bina ab reh nahi sakta


Faltoo Shayaris



ek aur ............ ..

Tu mere dil mein aise samaayi hai.............
Jaise baajre ke khet mein bhains ghus aayi hai........


Faltoo Shayaris


saheban pesh-e-khidamat hai ............ .

Ke khidki se dekha to raste pe koi nahi tha ….......
Ke khidki se dekha to raste pe koi nahi tha ….......
Aur raste pe jake dekha to khidki pe koi nahi tha



Faltoo Shayaris



ek nur-e-sher pesh kar raha hoon

Darkat ke paimane pe chilman e husn ka
Furkat se yun sharmana….
Darkat ke paimane pe chilman e husn ka
Furkat se yun sharmana….
uparwali line ka matlab tumhare samaz mai aaye..
to hume jaroor batana.



Faltoo Shayaris


agla wala load shedding pe ......... jara gaur farmayega

Jise Dil diya woh Dilli chali gayi..
Jise Pyar kiya woh Italy chali gayi...
Dil ne kaha Khud Kushi(Ssuicide) kar le zalim...
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi.......


Faltoo Shayaris

Khuda Hi Khuda
Idhar khuda hai, udar khuda hai,
Jidar dekho udar khuda hai,
idhar-udhar bus khuda hi khuda hai
jidhar nahi khuda hai….udhar kal khudega!


Faltoo Shayaris

Ai mere kadardan, Dost meri Jaan,
Tum hamesha rahoge hattekhatte nawjawan
kyounki…. Khuda meherbaan to
Gadha PAHELWAAN…..

Faltoo Shayaris

 Yeh jo hasinao ke baal hote hai,
ladko ko fasane ke jaal hote hai,
pee jati hai sara khoon ladko ka
tabhi to gaal itne laal hote hain…

 Faltoo Shayaris

oon to hain hum ”BHRAMCHARI”,
magar jahan dekhi ”NAARI”
vahan ”AANKH-MAARI”,
pat gayi to hamari,
varna phir se ”BHRAMCHARI’

Faltoo Shayaris

Palko pe apni bithaya hai tujhe,
badi duaon k baad paya hai tujhe..
aasani se nahi mile ho tum,
international ZOO se churaya hai tujhe! 

 Faltoo Shayaris

 Taarif k kaabil hum kaha,
charcha to aapki chalti hai,
Sab kuch hai aap k paas,
Bus 2 seeng aur 1 pooch ki kami khalti hai.

 Faltoo Shayaris

Gunghat Mein Tujhe Dekha To Deewanna Hua,
Sangeet Ka Taraana Hua, Shamaa Ka Parwana Hua,
Masti Ka mastaana Hua,
Jaise Hi Gunghat Uthaya Is Duniya Se Ravana Hua

Faltoo Shayaris

Dil k dard ko zuba par laate nahi,
hum apni aankhon se ansu bahate nahi,
Zakhm chahe kitne hi gahre kyo na ho, ??
hum DETTOL k siva kuch laagate nahi.

 Faltoo Shayaris

bandookh chalai fire ho gaya..
bandookh chalai fire ho gaya..
…. ….
kuch bhi bak diya, to shayar ho gaya..!!

 Faltoo Shayaris

aapki ada..
aapki smile..
aapka chehra, aapka chalna..
aapka bolna..
uff ye aapka sharmaana..
aapki aankhein..
aapka andaz..
Uff bas ab kya kahun..
koi ek chiz to theek hoti aap mein..

 Faltoo Shayaris

Ram ne Danush toda to Sita Bhaag kar aayi….
Krishna ne Basuri bajayi to Radha daud ke aayi….
Hum ne sirf Siti bhajayi wo to Bapko le aayi…….

Faltoo Shayaris


keep reading faltoo shayaris we will updating every time...

1 comments:

Hitendra Bari said...

very very faltoo.............
100% appreciatable for faltugiri, and for wasting our valuable time.........
to make ur time more valuable,
Do visit my blog:
http://blueicymind58.blogspot.com

 

©2009 dushant sonawane | by TNB